There is a Hadith:
“A believer is not bitten twice from the same hole.” (A believer is not mistaken twice with the same fault).
[Bukharee, adab (Manners), 83; Muslim, Dhuhd (Adherence to Devotions), 63]
--- ***** ---
--- *** ---
Vote dayna lazm
hai?
Aanay walay elections main vote dyna hm pr lazm hai, kyon k
vote k zaryae hee hm, boray hukumranon say nijaat aur sahi-o-muklis logon ko
apna hukumraan muntakhib kr sktay hain.
Poranay logon ko vote daynay walon ko haq nahi k wo Shikayat
krain k kyon bijli nahi, halaat kharab hain, naukri nahi, jan-o-maal mehfoz
nahi etc... kyon k inhee logon ko phelay bhi vote dia tha, aur aisay halaat ka
saamna krna pra, phr unhee logon ko dobara muntakhib krwanay ka kia mtlab hai?,
un hee logon ko vote dae kr tbdeeli ko aiheeni hathon say kyon rokna chahtay
hain? Tou phr aisay log rotay kyon hain? 'Inko ronay ka koi haq nahi, sirf wo
log masayal pr bol sktay hain jo iss mahool say nijaat k liae vote dynay ka
irada rkhtay hain'.
Tassub pr mbnee vote:
Allah k vaastay merit pr vote dain na k tassub, zaat aur
bradree pr, agr aap aisay logon ko vote daingay jo merit pr hain tou hr faisla
sirf aur sirf merit pr hee kray ga na k tassub, zaat aur bradree pr.Tassub,
zaat aur bradree pr vote dyna bhi hamary mulk k sb say bara almiyon main say
aik hai.
Election main
dhandlee:
Election main dhandlee k khilaaf hm sbko apnay tour pr
tayyaree krni hogee, kyon k aisee parties jinhain apnee salahiton pr bharosa
nahi, haar k drr aur loot khasoot k shauq k liae yae phr js qadr ho sakayga
dhandlee krain gee, main yae nahi kehta k hm ghundon aur badmashon say aamnay
saamnay laraee krain, bl k technology ka shara lain, kahin dhandlee dekhain tou
internet pr NEWS Channels ko foran email krain anchor persons ko email krain,
apnay mobile say sound record krain, agr moqa milay tou video bnain risk kbhi
na lain, Twitter aur Facebook pr bhi ehtiyaat krain kyon k bdmashon ka koi deen
eemain nahi hota,in logon ko baynaqaab kiae baghair aisay logon, kamoon aur
borayyon say chotkara mumkin nahi.
Vote kee taqat ko
smjhain:
Vote daynay say km az km hm khud aur siasat daan vote kee
taqat ko pehchaan skain gay, k agr tm sahi hukumranee nahi karo gay tou phr
jeetnay kee ummed na lgana, hm dosray mulkon ko dekhain jaisay America,Turkey,Iran
aur jahan bhi vote k zaryae musalsl hukumatain bntee aur grtee hain,tou in
mulkon k hukumaron k sron pr hr waqt tlwarain ltkee rehtee hain k inko awam k
kaam krnay hongay wrna phr awamaee rddaeamal aur hukumat khonay aur phr na
milnay ka khauf lga rehta hai, hm apnay riwaetee hareef Bharat hee ko dekhain,
wahan bhi yae sb borayan hain, un k hukumraan bhi mulk ko loot tay hain, mgr
kuch mulk pr bhi inko kch lgana prta hai, jis kee wajah say hm dekhain k Bharat
ab ktnee taraqee kr raha hai,kyon un k sron pr bhi na muntakhib honay kee
tlwarain ltkee rehtee hain, jis wajah say unhain awaam k liae kaam krna prta
hai.
Hm kyon nahi:
In mulkon main awaam apnay vote kee taqat ko jaan chokay
hain tou hm kyon nahi, aur yaehi wajah hai k in hukumranon ko apnay mulk k liae
kaama krna prta hai aur mulk taraqee kr raha hai.
1 din kee zara c
tkleef ya 5 saal kee bari tkleefain?
Aik din kee thori tkleef uthaa kr aanay walay paanch saalon
k kee baree tkleef say bchnay k liae apnay vote ka sahi istimaal krain.
****************** Attention *******************
Check Your Polling Station Name in 3 Easy Steps:
Send your CNIC (without Dashes) to 8300 (e.g .. 123456789098 --> 8300)
and in reply you'll get the name of your polling station with NA number
Check Your Polling Station Name, NA and PS visit http://whereismyballot.com/index.php